Friday, 16 August 2013

Ek Lamha...

Ek lamha yu guzra jaise zindagi ka rukh mod diya...
har purana rasta naya sa ho gaya...
dil ne jisse kabhi chaha tha wo bhi anjaan ho gaya...
Kisi ko dekhte se hi pyaar ho gaya...
mere gamo ka bojh kisi aur ne utha liya...
mujhe bhi udaas dekh kar apni pyaari baaton se mana liya...
tanha baith dekh mujhe akele rehne na diya...
meri khushi ke liye bhot kuch kia...
wo purani yaadon ko mita sa dia...
wo purani takleefo ko bhula sa dia...
ye lamhe ne na jaane kyon zindagi ke kitne pehlu badal diye...
wo waqt jismein akela chalta tha main usse bhi rok diya...
wo dil ki khaali jagah pe kisi ka naam likh diya...
ek guzre hue lamhe ne kisi ke zindagi mein aane ka ishaara kia...
mujhe uss pyaari si pari ka sahara dia...
palat kar kabhi na dekhne par mujhe majboor kia...
usne mujhe kabhi khud se na door kia...
uski aakhein itni nasheeli thi, doob gaya tha main unhi mein...
kabhi nachodegi wo mere saath aisa kaha usne...
uske haatho ki lakeere mere haatho mein chap gai...
usko na dekh meri ruh tadap gai...
uski baaho mein rehne ka wo sukoon itna raas aaya...
aisa laga koi jitna door gaya usse jyada mere paas aaya...
uski god mein sir rakh kar sona...
uska mujhe pyaar se sehlaana...
us ek lamhe ne jaadu sa jar dia...
uski khushboo, uske wajood se waakif hu main...
iss ke lamhe ke liye uss rab ka shukraguzaar hu main...
kisi ko meri ehmiyat ka ehsaas hua...
itne pyaar se aaj tak kisi ne nahi tha chua...
uska pyaar paa kar dil ko sukoon mila...
phr neend khuli aur samajh aaya ki ye khumaar tha jo hua...
wo ek lamha sapne mein hi aa kar chala gaya...
aur wo sapne mein aisa laga ki maine apna jeevan ji lia...

No comments:

Post a Comment