Saturday, 6 July 2013

Kab Koi.....

Ek Darr sa lagta hai kahin koi fir se chod kar na chala jaye...
Kahin waisi halat wapas na ho jaaye...
Bheed mein bhi khud ko akela paata hun...
Itna sab hone ke baad bhi sab ko khush rakhna chahta hun...
Mausam ka yun badal jaana kisi ki yaad dilata hai...
Kisi ke bina kuch kahe chod jaane ke dukh ka ehsaas karata hai...
Kuch door kisi ke saath chalne mein bhi darr sa lagta hai...
Aaj bhi ye dil teri wo nishaaniyan rakhta hai...
Sabke saath do pal hass kar unhe khush kar deta hun...
Khud naa jaane kyon sabke gamon ka bojh in kandhon pe rakh leta hun...
Kisi ko hasaane mein do pal nahi lagata hun...
Aur jab aa jaate hain meri hi aakhon se aasun to unhe rok nahi paata hun...
Kaash mere bhi dukh koi bina dekhe pehchaan leta...
Kaash mera bhi koi haath pakad kar kuch door chal leta...
Naa jaane sabko hasaata phirta rahunga main...
Na jaane kab tak sab ki takleefein uthaata rahunga main...
ab main bhi pyaar paana chahta hun...
kisi ki aakhon ka khumaar hona chahta hun...
Kab koi mere liye bhi apne saare kaam chod kar waqt nikaal paayega...
kab koi mere usse rooth jaane par mujhe hazaro baar manayega...
mujhe bhi kuch khaas hone ka ehsaas karayega...
Rab Raakha...

No comments:

Post a Comment